Hai ab bhi shola-o-rukhsaar yaar aankhon maiIsee sabab sey hai utraa bukhaar aankhon mai
Yeh doke chaar nazar aa rahe hain ab mujh koTumhari chaye ka aaya khumaar aankhon mai
Shareef kitna hoon mai tum se maar kha ker bhiAbhee talak hai wahee inkisaar aakhon mai
Kabhi jo lee thee kiraye pe chhin gayee mujh seMai jail mai [...]
Hai ab bhi shola-o-rukhsaar yaar aankhon mai
Isee sabab sey hai utraa bukhaar aankhon mai
Yeh doke chaar nazar aa rahe hain ab mujh ko
Tumhari chaye ka aaya khumaar aankhon mai
Shareef kitna hoon mai tum se maar kha ker bhi
Abhee talak hai wahee inkisaar aakhon mai
Kabhi jo lee thee kiraye pe chhin gayee mujh se
Mai jail mai hoon magar hai wo car aankhon mai
Jhadap aseeron se aur chakki peesna din raat
Basey huye hain wo lail-onahaar aankhon mai
Jo dekha haath mai kafgeer saas ke hum ney
To ashk aa gaye beikhtiyaar aankhon mai
Wo naar jis ne liye thay anaar hum se udhaar
Basa gayee hai naya ik udhaar aankhon mai
Pitay police se qataaron mai jab shakar ke liye
To ashk aa gaye zaaro qataar aankhon mai
Laga hai talkh jo Aasi ka sach to us but ney
Kabaab god mai phenkey achaar aankhon maia
No comments:
Post a Comment